Monday, 7 May 2012
Aazaadiyan milli bhi toh kaisi milli
Pairon se bediyan nikli aur haathon mein jaa girri
Par kholne chale, tab jism bikh chukka tha
Intezaar karte karte, Udaan bhi chal bassi
Syaahi se banni zanjeerein
Lafzon se jhakkar kar, baandhe gaye
Dosh in haathon ka hai
Kalam bhi tho inho ne hi uthaaya tha
Hum tehrey khud ke mujrim
Khud ke kaidi hum.
Thursday, 3 May 2012
Der Ho Gayi
جب تک ہم پیار میں گرے
تب تک وه اٹھکر جا بهی چکا تها
آنکھ سے جب تک ایک آنسو گرا
وه کسی اور کو ہنسا بهی چکا تها
پیار تو خوب نبهایا تها اس نے
شاید جتانے میں ہم سے کمی ره گئ
انتظار تو پل پل کیا تها اس نے
شاید، ہم سے ہی، دیر ہں گئ
~
Jab tak hum pyaar mein girre
Tab tak woh utth kar, jaa bhi chukka tha
Aankh se ek aansoo jab tak girra
Woh kissi aur ko, hassa bhi chukka tha
Pyaar tho khoob nibhaaya tha uss ne
Shaayad jataane mein hum se, kammi reh gayi
Intezaar tho pal pal kiya tha uss ne
Shaayad, hum se hi, der ho gayi
تب تک وه اٹھکر جا بهی چکا تها
آنکھ سے جب تک ایک آنسو گرا
وه کسی اور کو ہنسا بهی چکا تها
پیار تو خوب نبهایا تها اس نے
شاید جتانے میں ہم سے کمی ره گئ
انتظار تو پل پل کیا تها اس نے
شاید، ہم سے ہی، دیر ہں گئ
~
Jab tak hum pyaar mein girre
Tab tak woh utth kar, jaa bhi chukka tha
Aankh se ek aansoo jab tak girra
Woh kissi aur ko, hassa bhi chukka tha
Pyaar tho khoob nibhaaya tha uss ne
Shaayad jataane mein hum se, kammi reh gayi
Intezaar tho pal pal kiya tha uss ne
Shaayad, hum se hi, der ho gayi
Subscribe to:
Posts (Atom)